Hindi Song Title: Kya Hua Tujhe
Hindi Movie/Album Name: TUMKO NA BHOOL PAAYENGE
Singer(s): ALKA YAGNIK AND SONU NIGAM
Hindi Lyrics:
--FEMALE--
Kya hua tujhe
--MALE--
Bechain dil ho raha
--FEMALE--
Kyoon hua bhala
--MALE--
Mujhko nahin kuch pata
--FEMALE--
Aisa bhi kya ho gaya re
--MALE--
Jaane mujhe kya hua re
--FEMALE--
Dhadkanein badhi
--MALE--
Dhadkan to ruk si gayi
--FEMALE--
Saanson ka kya
--MALE--
Saansein bhi bas mein nahin
--FEMALE--
Arre re re yeh kya hua re
Voh to nahin ho gaya re
Kya hua tujhe
--MALE--
Kitna mushkil chhupaana
Usse bhi mushkil bataana
--FEMALE--
Dil ki baaton ko lekin
Apnon se na chhupaana
--MALE--
Mm, kehna chaahoon main lekin
Kuch kaha bhi na jaaye
--FEMALE--
Rog tumko laga jo
Usse rab hi bachaaye
--MALE--
Iski dava
--FEMALE--
Iski dava kuch nahin
--MALE--
Ab hoga kya
--FEMALE--
Arre mujhko pata hi nahin
Arre re re yeh kya hua re
--MALE--
Jaane mujhe kya hua re
--FEMALE--
Kya hua tujhe
--MALE--
Hey ae ae
--FEMALE--
Aa aa aa aa aa, aa aa aa
Aa aa aa aa aa
Dil ki baaton ko dilbar
Jo na humse kahoge
Dekhna zindagi bhar
Tum tadapte rahoge
--MALE--
Kaunsa mod hai yeh
Kaisi yeh bekhudi hai
Main kahan hoon mujhe to
Kuch khabar hi nahin hai
--FEMALE--
Kuch to khabar lo tum zara apne dil ke
--MALE--
Dil to mera ab paas mere nahin
Tera hua, kya karoon re
Arre re re pyaar ho gaya re
Tujhse hi pyaar ho gaya re - 2
--BOTH--
Tujhse hi pyaar ho gaya re - 2
|
Hindi Song Title: Kya Hua Tera Wada
Hindi Movie/Album Name: HUM KISI SE KAM NAHIN
Singer(s): MOHAMMED RAFI AND SUSHMA SHRESHTHA
Hindi Lyrics:
--MALE--
(Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada) - 2
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
--FEMALE--
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
--MALE--
Yaad hai mujhko, tune kaha tha
Tumse nahin roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shyaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Oh kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam woh irada
|