Hindi Song Title: Teraa Khayaal Dil Se Mitayaa Nahin Abhi
Hindi Movie/Album Name: DORAAHA
Singer(s): TALAT
Hindi Lyrics:
teraa khayaal dil se mitayaa nahin abhi
bedadr main ne tujh ko bhulaayaa nahin abhi
kal tuune muskuraa ke jalaayaa thaa khud jise
sine kaa vo charaag bujhaayaa nahin abhi
garadan ko aaj bhi teri baahon ki yaad hai
chaukhat se teri sar ko uthaayaa nahin abhi
behosh hoke jald tujhe hosh aa gayaa
main badnasib hosh mein aayaa nahin abhi
|