[A]  [B]  [C]  [D]  [E]  [F]  [G]  [H]  [I]  [J]  [K]  [L]  [M]  [N]  [O]  [P]  [Q]  [R]  [S]  [T]  [U]  [V]  [W]  [X]  [Y]  [Z] 
Home   | Browse Movies/Albums   | Popular   | Top Rated   |Latest Songs   | Hindi Lyrics by Category    | Hindi Lyrics by Title   | Hindi Lyrics by Singer
 
EIGHT STAGES OF LOVE
Zameen ka phool ho lyrics
»Send these lyrics to friend
»Printer friendly version


No Rating is given

Rating:0.00/10 (0votes)
Zameen ka phool ho lyrics
 
EIGHT STAGES OF LOVE (53 views)
Hindi Song Title: Zameen Ka Phool Ho
Hindi Movie/Album Name: EIGHT STAGES OF LOVE
Singer(s): BABUL SUPRIYO, KAVITA KRISHNAMURTHY


Hindi Lyrics:
koi kisiko kyon achha lagta hain 
koi kisiko dekh kar kyon apne hosh kho deta hain
kisiki hairaan aankhen ek haseen chehre ko dekhti hain
aur dil mein anginat maasoom sawaal karwaten badalne lagte hain

zameen ka phool ho ya  hoor aasmaan ki ho
la la la  la la la la 
la la la  la la la la 
hmm hmm hmm hmm
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho - 2
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho

yeh jism geet hain khushbu hain ya hain deep jala
yeh zulf raat hain baadal hain ya hain koi bala
yeh aankhen jaadu hain jheelen hain ya ke paimaana
yeh chehra khwaab hains sach hain ya koi afasaana 
woh des kitna haseen hoga tum jahaan ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho

tumhare layje mein sheeshe khanakte hain jaise 
tumhare chhuune se pathhaar pighalte hain jaise
kiran si phootti hain tum jo muskurati ho
nazaaren gaate hain tum jo nazar uthaati ho
yaha ki ho ya kisi aur kehkasha ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho
la la la  la la la la 
la la la  la la la la 
hmm hmm hmm hmm
Rate lyrics:
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10


More EIGHT STAGES OF LOVE lyrics
Chaandani Phool Sitaaren Koi Ajnabee Mila Zameen Ka Phool Ho