Hindi Song Title: khaamosh hai jahaan, madhosh hai fiza
Hindi Movie/Album Name: NAAZ
Singer(s): MEENA KAPOOR, CHORUS
Hindi Lyrics:
dil mein sama ja, dil mein sama ja
khaamosh hai jahaan, madhosh hai fiza
dil mein sama ja
khaamosh hai jahaan, madhosh hai fiza
dil mein sama ja
ai jaan-e-jahaan, jaan-e-jigar, jaan-e-tamanna
sadake tere dharati mere saamaan-e-tamanna
ai naaz-e-saraapa, aa dil mein sama ja
sun mast ada mast nazar mast javaani
ai jaam-e-muhabbat hamein ye rakt-e-javaani
pi aur pila ja, aa dil mein sama ja
aa dil mein sama ja
aa dil mein sama ja
|