Hindi Lyrics:
ye kiski yaad aa gai
bahaar ban ke chha gai
haseen raat ho gai
jawaaniyon mein kho gai
dil bhi beqaraar hai
tera intazaar hai -2
o
ye chaandani nikal gai -2
ye zindagi sanwar gai
gulon ko aa gai hansi
labon pe chha gai khushi
nigaah mein khumaar hai
tera intazaar hai -2
o
sitaare muskura diye -2
nazaare gun suna diye
hawa ne jhoom-jhoom kar
kaha kali ko choom kar
mujhako tujhase pyaar hai
tera intazaar hai -2
o