Home Browse Movies/Albums Popular Top Rated Latest Songs Hindi Lyrics by Category Hindi Lyrics by Title Hindi Lyrics by Singer
Chaandi ka badan Lyrics from TAJ MAHAL
User Rating:4.62/10 (8votes)  
Rate lyrics:
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10

Chaandi ka badan Lyrics

This page contains the lyrics of Hindi Chaandi ka badan from the Bollywood movie 'TAJ MAHAL'.
Movie : TAJ MAHAL
Hindi Song : Chaandi ka badan
Songs Views : 740 views
TAJ MAHAL- Chaandi ka badan
Hindi Song Title : Chaandi Ka Badan
Hindi Movie/Album Name: TAJ MAHAL
Singer(s) : MOHD. RAFI, ASHA BHOSLE, MEENA KAPOOR, MANNA DEY


Hindi Lyrics:
ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar us par ye nazaakat kyaa kahiye eji kyaa kahiye chaaNdi kaa badan sone ki nazar us par ye nazaakat haay nazaakat lyaa kahiye kis kis pe tumhaare jalvoN ne toDi hai qayaamat kyaa kahiye eji kyaa kahiye chaaNdi kaa badan sone ki nazar A: aa aa aa.. A, mee, cho: aa.. GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar ye rang-e-tabiyat kyaa kahiye eji kyaa kahiye aise bhi kahin is duniyaa mein hoti hai muhabbat kyaa kahiye eji kyaa kahiye GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar ra: aa.. ra, ma, cho: aaNchal ki dhanak ke saaye mein ye phool gulaabi chehroN, chehroN ke ye phool gulaabi haa aa aa aa ye phool gulaabi chehroN ke ye gul bhi hai gulshan bhi hai aur taaroN kaa jhurmaT bhi ye phool gulaabi chehroN ke ye phool gulaabi haay gulaabi chehroN ke is vaqt hamaari nazroN mein kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye eji kyaa kahiye is vaqt hamaari nazroN mein ra, ma: haa aa haa aa haa ra: tumse nazren jo milin deen-o-duniyaa se gaye ik tamannaa ke sivaa har tamannaa se gaye mast aaNkhoN se jo pee jaam-o-meenaa se gaye zulf lahraayee jahaaN ham bhi lahraa se gaye ra, ma, cho: hooren milti hain kise is ki parvaah se gaye is ki parvaah se, parvaah se, parvaah se gaye is vaqt hamaari nazroN mein kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye eji kyaa kahiye chaaNdi kaa badan sone ki nazar A: aa aa aa.. A, mee, choo: yuN garm nigaahen mat Daalo ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hain ye jism pighal bhi, aa aa aa aa ye jism pighal bhi sakte hain ye jism pighal bhi haay pighal bhi sakte hain aadaab-e-nazaaraa bhoole ho tum logoN ki vahshat kyaa kahiye eji kyaa kahiye aadaab-e-nazaaraa bhoole ho A: aa aa aa aa aa tum hamen jeet sako is kaa imkaan nahin Khud ko badnaam karen ham vo naadaaN nahin mee: koi martaa hai mare ham pe ehsaan nahin un se kyuN baat karen jin se pahchaan nahin A, mee, cho: tum ko armaaN hai to hai ham ko armaan nahin ham ko armaan ke armaan ke armaan nahin aadaab-e-nazaaraa bhoole ho -2 tum logoN ki vahshat kyaa kahiye eji kyaa kahiye ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar A, mee, cho: din raat duhaayee dete hain ye haal hai in deevaanoN kaa -2 A: ye haal hai in deevaanoN kaa chorus: ye haal hai in deevaanoN kaa -4 A: jahaaN dekhi nayee soorat machal baiThe -2 haay yahi, yahi, yahi lenge mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2 ma: jin ki Khaatir Gham sahen aur ro-ro jaaN gavaaen ra: haay ri qismat unhin ke mooNh se deevaane kahlaayen ra, ma, cho: ke ab ( ye haal hai in deevaanoN kaa ) -2 A: aa aa.. aa aa haa in aashiqoN ke haath hai, ai zindagi bavaal in kaa karen Khayaal ke, apnaa karen Khayaal har lab hai arz-e-shauq to, har aaNkh hai savaal -2 A, mee, cho: ye Gham se beqaraar hai, vo dard se nihaal arey ye haal hai in deevaanoN kaa ye haal hai in deevaanoN kaa ra: aa.. meri neend gayee meraa chain gayaa vo jo pahle thi taab-o-tabaan gayee ma: yahi rang rahaa yahi Dhang rahaa to ye jaan lo jaan ki jaan gayee ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2 A: kisi ko Khud-Khushi kaa, shauq ho to, kyaa kare koi ra: davaa-e-hijr de, beemaar ko, achchhaa kare koi mee: koi bevajah sar phoDe to kyoN parvaah kare koi ma: kisi majboor-e-Gham kaa haal kyoN aisaa kare koi A: mazaa jab hai ki tum, tum taDpaa karo, taDpaa karo tum dekhaa kare koi ra: maren ham aur tum par, ke tum par Khoon kaa, Khoon kaa daavaa daavaa kare koi ma: haaN ra: daavaa kare koi ma: haaN aa aa aa ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -4 A, mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa, deevaanoN kaa jeete bhi nahin marte bhi nahin bechaaroN ki haalat kyaa kahiye eji kyaa kahiye GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar
Copyright © 2004-2009 hindilyrics.org All Rights Reserved. All song lyrics, logos, trademarks, album cover art, and other creative works are and remain copyright and property of their respective owners. Commercial use prohibited. www.hindilyrics.org is a not-for-profit. All advertising proceeds are used to maintain its servers
Hindi Lyrics site brings you the lyrics of the song Chamki Jawaani from the Bollywood movie Yamla Pagla Deewana. We tried to make Chamki Jawaani Bollywood Lyrics as correct as possible, however if you have any corrections for Chamki Jawaani Bollywood Song Lyrics, please feel free to submit. Please note that we do not provide any Hindi mp3 or Bollywood songs on our site. We encourage you to buy Bollywood movie DVD, VCD or audio CD.